Khan Market Delhi ka ek bahut hi famous aur posh market hai. Yahan par aapko branded stores, boutiques, aur bade-bade showrooms milenge.
Agar aap metro se wahan jana chahte ho, to sabse nearest metro station hai Khan Market Metro Station. Ye metro station Violet Line par hai.
How to Reach Khan Market by Metro?
- Step 1: Violet Line wali metro pakdo.
- Step 2: Khan Market Metro Station pe utro. Gate No. 2 se bahar niklo.
- Step 3: Station se Khan Market tak auto ye rickshaw lo jo aapko 5 minute mein pahucha dega. Paidal chal kar bhi 10-15 minute me easily pahuch sakte ho.
Distance and Travel Time:
- Distance: Khan Market Metro Station se Khan Market – 1 km.
- Auto Time: 5-7 minute (fare Rs. 20-30 tak).
- Walking Time: 10-15 minute (raasta posh hai).
- Metro Availability: Har 2-4 minute mein pe train mil jaati hai.
Why Choose Khan Market Metro Station?
Yeh station Khan Market ke sabse kareeb hai aur Central Delhi ke elite area mein hai.
Dusra option, Jor Bagh Metro Station (Yellow Line) hai jo ki 2 km door hai. Yha se bhi app khan market pahuch sakte ho.
Extra Tips for Visitors:
- Best Time: Sham 5-8 baje jao, cafes aur dukaanein full swing mein hoti hain.
- Nearby Spots: Khan Market ke baad India Gate (2 km) aur Lodhi Garden (2 km) bhi ghum sakte ho.
Fun Fact:
- Khan Market Delhi ke sabse posh aur expensive markets mein se ek hai. Yahan bade bade log shopping aur dining ke liye aate hain.
- Iska naam Khan Abdul Ghaffar Khan (Frontier Gandhi) ke naam par rakha gaya hai.
- Khan Market mein bahut saari famous bookstores hain, jaise ki Bahrisons aur Faqir Chand.
- Yahan aapko har tarah ka khaana milega, street food se lekar fine dining tak. Big Chill, Khan Chacha, aur SodaBottleOpenerWala bahut famous hain.
- Yahan designer boutiques aur high-end brands ki shops bhi hain.
- Market size mein chhota hai, lekin iski popularity bahut badi hai.
Category: Travel