ISKCON Temple, Delhi ka spiritual retreat, peace aur bhakti ke liye famous hai.
Agar aap metro se wahan jana chahte ho, to sabse nearest metro station hai Nehru Place Metro Station. Ye metro station Violet Line par hai.
Chalo, details dekhte hain!
How to Reach ISKCON Temple by Metro?
- Step 1: Violet Line wali metro pakdo.
- Step 2: Nehru Place Metro Station pe utro. Dhyan rahe Gate No. 1 se bahar nikalna hai.
- Step 3: Station se ISKCON Temple tak auto lo (5-7 minute mein pahunch jaoge).
Distance and Travel Time:
- Distance: Nehru Place Metro Station se ISKCON Temple ki doori bas 1.5 km hai.
- Auto Time: 5-7 minute (fare Rs. 20-30 tak).
- Walking Time: 15-20 minute (raasta thoda busy hai).
- Metro Frequency: Har 3-5 minute mein aasaani se train mil jaati hai.
Why Choose Nehru Place Metro Station?
Yeh station ISKCON Temple ke sabse kareeb hai aur South Delhi ke commercial area mein hai.
Dusra option, Kalkaji Mandir Metro Station jo ki Violet Line par hai. Iskon Temple yha se 2 km door hai.
Extra Tips for Visitors:
- Best Time: Subah 4-6 baje ya sham 6-8 baje jao, aarti ka time best hota hai.
- Nearby Spots: ISKCON Temple ke baad Lotus Temple (1.5 km) ya Nehru Place Market (500 meter) ghum sakte ho.
Fun Facts:
- Yha hamesha “Hare Krishna Hare Krishna, Krishna Krishna Hare Hare / Hare Rama Hare Rama, Rama Rama Hare Hare” mantra jap hota rehta hai.
- ISKCON ki sthapna A.C. Bhaktivedanta Swami Prabhupada ne 1966 mein New York City mein ki thi.
- Mandir mein visitors ko free prasad milta hai, jo shuddh shakahari bhojan hota hai.
- ISKCON mandir Rath Yatra festival bahut dhoom dhaam se manata hai, jismein bhagwan Jagannath, Balram aur Subhadra ki rath yatra nikalti hai.
- Kayi ISKCON mandiron mein gaushala hoti hain, jahan gayo ki seva ki jati hai, kyunki Hindu dharm mein gayo ko pavitra mana jata hai.
- ISKCON log vedic literature ki pustake bahut jagah distribute karte hain, taki log vedic culture ke baare mein jan sakein.
Category: Travel