Chhatarpur Temple Delhi mein devi Katyayani ko samarpit ek bada Hindu mandir hai. Yeh apni sundar architecture aur bahut saare mandiron ke liye mashhoor hai.
Agar aap metro se wahan jana chahte ho, to sabse nearest metro station hai Chhatarpur Metro Station jo ki Yellow Line par hai.
Chalo, details me check karte hain!
How to Reach Chhatarpur Temple by Metro?
- Step 1: Yellow Line wali metro me enter karo.
- Step 2: Chhatarpur Metro Station pe utro aur Gate No. 2 se bahar aao.
- Step 3: Station se Chhatarpur Temple tak auto le lo. Bas 5 minute me mandir pahuch jaaoge.
Distance and Travel Time:
- Distance: Chhatarpur Metro Station se Chhatarpur Mandir ki doori – 1 km.
- Auto Time: 5-7 minute (fare Rs. 20-30 tak).
- Walking Time: 10-15 minute.
- Metro Frequency: Metro 2-4 minute mein aati hai.
Why Choose Chhatarpur Metro Station?
Yeh station Chhatarpur Temple ke sabse kareeb hai aur aapko metro ke bahar auto easily mil jayenge.
Dusra option, Qutub Minar Metro Station (Yellow Line) hai. Ye mandir se 3 km door hai.
Jo appke liye aasaan ho, whi option chuno.
Extra Tips for Visitors:
- Best Time: Subah 6-8 baje jao, puja ke liye sukoon milta hai.
- Nearby Spots: Temple ke baad Qutub Minar (3 km) ya Hauz Khas Village (10 km) bhi ghum sakte ho.
Fun Facts:
- Yeh Delhi ka dusra sabse bada mandir complex hai, Akshardham ke baad.
- Is mandir mein Maa Katyayani ki murti hai, jise bahut shaktishali mana jata hai.
- Yahan par ek bada sa peetal ka sher (lion) hai, jo darshanarthiyon ke liye ek akarshan hai.
- Yahan par ek ‘Shiv-Parvati Vatika’ bhi hai, jo bahut sundar hai.
- Navratri ke dauran yahan bahut bada mela lagta hai, aur lakhon log darshan ke liye aate hain.
- Mandir complex mein ek ‘Sanskrutik Kendra’ bhi hai, jahan religious aur cultural events hote rehte hain.
- Mandir ki architecture bahut hi intricate hai, aur isme South Indian aur North Indian styles ka mixture dikhta hai.
- Is mandir ko Sant Shree Nagpal ji ne banwaya tha. Mandir ke andar ek kamra hai, jahan sant Nagpal ji rehte the, aur us kamre ko aaj bhi usi tarah rakha gaya hai.
Category: Travel