Agrasen ki Baoli Delhi mein ek historical stepped well hai. Isko “Ugrasen ki Baoli” bhi kaha jata hai.
Agar aap metro se wahan jana chahte ho, to sabse nearest metro Barakhamba Road Metro Station hai.
How to Reach Agrasen Ki Baoli by Metro?
- Step 1: Blue Line metro pakdo (Dwarka Sector 21 se Noida Electronic City tak chalti hai).
- Step 2: Barakhamba Road Metro Station pe utro. Dhyan rahe Gate No. 1 se bahar nikalna hai.
- Step 3: Station se Agrasen Ki Baoli tak auto lo (5 minute) ya paidal chalo (10-15 minute).
Distance and Travel Time:
- Distance: Barakhamba Road Metro Station se Agrasen Ki Baoli – 1 km.
- Auto Time: 5-7 minute (fare Rs. 20-30 tak).
- Walking Time: 10-15 minute (raasta urban hai).
- Metro Frequency: Aapko har 2-4 minute mein train mil jaayegi.
Why Choose Barakhamba Road Metro Station?
Yeh station Agrasen Ki Baoli ke sabse kareeb hai aur Connaught Place ke paas hai.
Dusra option, Rajiv Chowk Metro Station hai. Ye Yellow Line par hai. Ugrasen Ki Baoli yha se 1.5 km door hai. Jo bhi metro aapke liye convinient ho aap wo le sakte hai.
Extra Tips for Visitors
- Best Time: Subah 9-11 baje jao, baoli ke steps acche se dikhte hain.
- Nearby Spots: Agrasen Ki Baoli ke baad Connaught Place (1 km) aur Jantar Mantar (1.5 km) bhi ghum sakte ho.
Fun Fact:
- Ismein 108 steps hain jo paani ke level tak jaate hain.
- Iska architecture bahut unique hai, aur isme purane zamane ki engineering dikhti hai.
- Iske andar ka temperature bahar ke comparison mein hamesha thanda rehta hai.
- Yeh kai Bollywood movies mein dikhaya gaya hai, jaise ki “PK” aur “Sultan”.
- Kaha jata hai ki purane samay mein iska paani kala ho jata tha, aur logon ko hypnotize karta tha.
- Iske andar bats (chamgadar) bhi rehte hain, jo is jagah ko thoda spooky banate hain.
- Archaeological Survey of India (ASI) ne isko protected monument declare kiya hai.
- Iske exact banane ka time unknown hai, lekin kuch logon ka manna hai ki yeh Mahabharata ke time se hai.
- Yeh jagah photographer aur history lovers ke liye ek favorite spot hai.
Category: Travel